Friday, July 30, 2010

urdu poetry part 288

Mili aasayish-e-dunya usay izzat bhi shohrat bhi..
Sabhi kuchh pa liya phir bhi kami ki baat karta hai..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB



Jeene ki justju hai na marne ki aarzu..
Layi hai kis maqaam pe ye zindagi mujhe..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Sukoon-e-zindagi haasil usay IMRAN kaise ho..
Musalsal jisko zimmedariya'n awaaz deti hain..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.



Jadu hazaar shokh adawo'n ka be-asar..
Diwana kar gayi ye teri saadgi mujhe..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB,
Jhinjhanvi. (U.P.)



Kabhi ana se kabhi muflisi se ladta hai..
Qadam Qadam pe bashar zindagi se ladta hai..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.



Waqt se pehle hi pakk kar ho gayi taiyar fasl..
Media in chhote bachcho'n ko jawani de gaya..


SHAYIRAH:
ANU JASROTIA, (J&K)



Le hi jaati hain usay baandh ke woh aanchal me..
Jis kisi dil pe haseeno'n ki nazar hoti hai..


SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA.



Jab suna mujh se bichhad kar muztarib rehte hain woh.
Daf'atan aankho'n se meri ashk jaari ho gaye.


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.



Muntazir hun mai sanware huwe zulfe'n apni..
Laut kar aao toh aankho'n me bhi kajal dalu'n..


SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Chandani raat me masoom se bachche ki tarah.
Thaam ke ungliya'n yaado'n ki chala karte hain.


SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
Punjab

No comments: