Wednesday, August 4, 2010

urdu poetry part 293

Uski aankho'n se gire honge tadap kar aansu..
Ho ke majboor mera khat jo jalaya hoga..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI. (U.P.)


Chhalak ke aa gaya aankho'n me dard seene ka..
Kisi ne baat uthayi jo muskurane ki..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi. (U.P.)



Meri Ghurbat hai faqat tere bichhadne ka sabab..
Bas isi gham ne mujhe ab bhi sata rakkha hai..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD,
(U.P.)



Jab se raha na saath tera zindagi ke saath.
Dil ka suku'n bhi kho gaya Lab ki hansi ke saath.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.



Jala rahe ho hamari Beti jalao lekin ye yaad rakkho.
Tumhari Beti bhi ek na ek din kisi ke ghar ki Bahu banegi.

MAHTAB AAZAD



Bulbul ki khair
Shaakh-o-nasheman ki khair ho..
Saiyaad ab chaman ka nigehban ho gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...



Tamaam raat tujhe soch kar guzaari hai..
Ye ek raat meri zindagi pe bhaari hai..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.
Saharanpur. (U.P.)



Mai ne sach bola toh patthar ki pahel usne hi ki..
Umr bhar jo shakhs meri aabru karta raha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)



Jis ka mafhoom nikalta ho mohabbat ke khilaaf..
Woh fasana meri rudaad nahi ho sakta..

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)



Aap ki mehfil toh roshan ho gayi thi khair se.
Dil magar kiska jala tha kya karoge jaan kar.

SHAYIRAH:
URMILA URMI (Gujarat)

No comments: