Friday, August 20, 2010

urdu poetry part 309

Thukra do agar de koyi zillat se samandar.
Izzat se jo mil jaaye woh Qatra hi bahut hai.

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur.)



Jiska adab ke saath kare'n bijliya'n tawaaf..
Ek aisa Aashiyana banao toh baat hai..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)



Jahaan de de Asar de de Martaba de de..
Khuda Namaaz ki barkat se jaane kya de de..

SHAYIR:
MASROOR TABISH,
Rajupur. (U.P.)



Woh hi insaa'n hai Bahadur wahi azmat wala.
Jisne ghusse me bhi rakkha hai zuba'n par Qaabu.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



HADEES:
"The powerful individual is not he who; knocks the other down, but he who controls himself in a fit of anger."


Kaha'n tak raaz ko phir raaz rakh pawoge Ay RAHI.
Jo kuchh dil me hai dunya ko dikha dega wahi chehra.

SHAYIR:
MAHB00B RAHI.



Ye sachcha tajriba hai jab bhi chaho aazma lena..
Jo Dushman kar nahi sakta woh Rishtedaar karte hain..

SHAYIR:
HASEEB SOZ.



Saharo'n ki kisi se koyi bhi ummeed mat rakkho..
Ye dunya hai yaha'n khud hi sambhal kar chalna padta hai..

(S.HAIDER RAZA)



Jinse ho'n tareek raaho'n me na kuchh bhi roshani.
Un charagho'n me kabhi tanweer mat dhoonda karo.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI.



Azmat-e-niswaniyet Parde me hi mastoor hai.
Mah-jabeeno'n keliye Bepardagi achchhi nahi.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI
(Karnataka)

No comments: