Monday, August 23, 2010

urdu poetry part 313

 Khuda ka zikr har ek gham ko door karta hai..
Sukoon pata hai Qalb-o-jigar Namaz ke baad..

SHAYIR:
JAVED AASI. (Rajupur)


Lehro'n se khelta tha samandar ki jo kabhi...
Paani ko dekh kar wahi ghabra raha hai aaj...

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK...



Door hun tum se kalayi me na baandhi RAKHI..
Mere Bhaiya hain magar saath duaye'n meri..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Agar imaan hai tujh me toh kuchh imdaad kar uski..
Kisi majboor-o-bebas ka tamasha dekhne wale..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.



Hairat hai ke gulshan me toh pazhmurda raha mai..
Sehra me magar phool ki manind khila mai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.



HADEES:
Prophet (pbuh) said:
Whoever loves my way of life loves me,and whoever loves me will b with me in Paradise.
(Tirmizi)



Yaad zamana rakkhega jo aala-zarfi hogi HAYAT..
Nek amal hi aakhir ek din Rooho'n ko mehkate hain..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.


Yu'n toh raste me bahut se ped saya daar thay..
Dhoop me woh kyun khada tha kya karoge jaan kar..

SHAYIRAH:
URMILA URMI.



Mujh ko tanha chhod kar jab Maa chali su-e-adam..
Zindagi mere liye ek bojh ban kar reh gayi..

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.



Woh jinki Dosti par naaz tha jin par bharosa tha..
Zarurat jab padi unki toh begane nazar aaye..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.

No comments: