Friday, August 27, 2010

urdu poetry part 316


 Allah ka bhi khauf na tha jisko kal talak..
Saye se apne SAIF woh darne laga hai aaj..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Najane khwahishe'n kitni woh paale baitha hai..
Jo apni marzi se ek saans bhar nahi sakta..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.





Hausale khud hi batayenge bulandi ki nisha'n.
Raah me apna khat-e-taqdeer mat dhoonda karo.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)





Hai nafrat aaj kaanto'n ko bhi mujh se..
Mai ek ghuncha hun murjhaya huwa sa..

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
Kumta. (Karnataka)





Hai zinda ke jeene ki saza kaat raha hai.
Woh shakhs jo
ahkam-e-khuda kaat raha hai.

SHAYIR:
MASROOR TABISH,
Rajupur. (U.P.)





Band mutthi hai toh Kankar par bhi Heere ka guma'n..
Mat kisi ke saamne Aansu baha faryaad kar..

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.





Toot kar shaakh par yunhi atka huwa..
Zindagi ek patta hai latka huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore. (Karnataka)





Chand lamhe shaakh par khil kar jo Gul murjha gaya.
De gaya paigham Ham ko zindagi ki shaam ka.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)

No comments: