Saturday, September 4, 2010

urdu poetry part 324

Samjhe ho jis zakath ko baar-e-gira'n lagaan..
Imaa'n ki hai ye rooh Ye momin ka ehtisaab..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.





Log Sehra kabhi Gulshan ko bhi likh jaate hain..
Ham se Sehra ko bhi Sehra nahi likkha jaata..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)





Kaazib ko yaha'n milti hai dastar-e-fazeelat..
Jo haq pe rahe'n unke liye sirf saza hai..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)





Behno pe yu'n watan ki hai afsos ab mujhe..
Niswaniyet ki unki woh pehchan kho gayi..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Is daur-e-jawani ki bas itni kahani hai..
Hai Barf agar tehre Beh jaye toh Paani hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.





Jo doosro'n ke waaste wajh-e-malaal ho..
Aisi khushi kabhi bhi manaya na keejye..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI, (Bhatkal)





Apni aankho'n pe na itraao karo shukr-e-khuda..
Kitni aankhe'n hain zamane me jo be-noor bhi hain..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.





Kapde na do Zakath me gar hosh-mand ho..
Berozgaar hai koyi toh
rozgaar do..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.





Khaar raaho'n ke mahek utthe'n teri Gul ban kar..
Ja tujhe aaj koyi dil se dua deta hai..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
(Punjab)





Luaab-e-mustafa me thi sifat akseer-e-aazam ki.
Sahaba ko kisi ne bhi nahi dekha dawa karte.
(S.A.W.)

SHAYIR:
AALAM NIZAMI.

No comments: