Monday, September 6, 2010

urdu poetry part 327

Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U

For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606





Karta hai abas sang pe tahreer isay tu.
Ay dost ! Tera naam toh paani pe likha hai.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.





Bheek se Bhook ko har haal me behtar samjha..
Mai agar khud ko badalta toh badal sakta tha..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.





Zindagi hai 2 din ki phir bhi dekhiye TALIB..
Pyar hai parinde ko kitna aashiyane se..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)





Tujhe hai showq bahut zarf naapne ka magar..
Mere Rafeeq ! Ye Darya nahi Samandar hai..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)





Ghareebo'n ko jo apne maal se hissa nahi deta.
Kabhi us shakhs ki rozi me barkat ho nahi sakti.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Maange baghair hi mile Darya kabhi kabhi..
Tarse hai zindagi kabhi Qatro'n ke waaste..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.





Prophet (pbuh) said:
The best charity is that given in Ramazan.
(Tirmidhi)




(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606



Allah mere mujh ko na aisa mizaaj de..
Jisko khud apne zulm ka ehsaas bhi na ho..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore.

No comments: