Friday, September 10, 2010

urdu poetry part 331

ARSHAD wahi hain EID ki khushiyo'n me pesh pesh.
Pamaal kar rahe thay jo Ramza'n ki azmate'n.

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Ek hai EID ka aur ek hai mera Sargam..
Kaash do chaand liye EID ka manzar aaye..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore.





GHAZAL4U wishes all the readers
Happy EID-UL-FITR.
May Allah bless all of us accepting our worship that we did in Ramazan.





Phatay kapdo'n me dekha EID k din jab se muflis ko.
Mujhe Ay HAMSAFAR chhubne lage mere naye kapde.

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI





Bichhdo'n ko Mufliso'n ko bhi ho EID ki khushi..
Yarab ! Kisi bhi aankh me is din nami na ho..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.





Naye kapdo'n se hain mahroom hazaro'n bachche.
Aise soorat me bhala EID manawu'n kaise.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
(Karnataka)





Usne yu'n paigham diya hai Rahat EID mubarak ka.
Chand ke beech hina se likh kar mera naam hatheli par.

SHAYIR:
ILIYAS RAHAT





Charau dishaaye'n jaise rango se bhar gayi..
Usne jo aa ke EID MUBARAK kaha mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.





P**** kapdo'n me dekha EID ke din jab se muflis ko.
Mujhe Ay HAMSAFAR chhubne lage mere naye kapde.

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI





Mai EID manawu'n bhi toh kis tarha manawu'n..
Sab kuchh hai mere paas magar tum hi nahi ho..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

No comments: