Thursday, September 16, 2010

urdu poetry part 335

Mohabbat Dosti Ikhlaas Hamdardi Wafadari..
Nahi hai inka kuchh matlab ye hain bekaar ki baate'n..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI.





Saani tera nahi hai hazaro'n me ek bhi..
Jaise koyi Gulaab chaman me khila huwa..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.





Go hazaar mod aaye'n sar-e-rahguzaar lekin..
Teri rahguzar se aage koyi raasta nahi hai..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)





Ye na samjho ke andhero'n ki duhayi dunga..
Mai bujhunga toh charagho'n me dikhayi dunga..

SHAYIR:
WASIM MALIK,
(Gujarat)





Diye ki misl jale jinki bazm ki khatir..
Bitha gaye hain wahi dost ham ko raaho'n me..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)





Qubool kar na sake'n jisko tere ghar ke log..
Tu us Ghareeb ki Beti se pyar mat karna..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)





Suna toh di hai unhe daastan-e-gham lekin..
Jo ham ne poochha toh bole suna nahi kuchh bhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.





Najane kitni nigaho'n ne Be-Libaas kiya..
Usay shabab ki sarhad se paar hone tak..

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Dushman Qadam Qadam pe ta'aaqub me ho'n jaha'n..
Behtar hai us maqaam se hijrat kisi tarah..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.





Aaj bhi aksar uske meethe bol sunayi dete hain..
Jabke uski soorat dekhe
ek zamana beet gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

No comments: