Thursday, September 23, 2010

urdu poetry part 343

Bahut nuqsaan deti hai kabhi sada mizaji bhi..
Usi se chot khata hun jise hamdam samajhta hun..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.





Samajh kar phool bhanwre bhi Labo'n ko choom lete hain..
Khuda ne kya ajab jadu tere chehre me rakkha hai..

(WASIM RAJUPURI)





Dekhti hun raah me jis waqt mai Daar-ul-zayeef.
Dukh mujhe hota hai unki aal ke kirdaar par.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Jahaan-e-aab-o-gil paband momin ke isharo'n ka.
Magar momin taqaza-e-khilafat bhool baitha hai.

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.





Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe.
Andho'n ke haath me na yu'n dil ki kitab de.

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore





Mil jaye kaash mujh ko bhi aisi ataa koyi..
Jisko bhi tu ne chaha Sikandar bana diya..

SHAYIR:
JAVED KHAN
Tapranvi. (U.P.)





Ghareebi dekh kar meri mujhe thukra diya usne..
Ke shayed aarzu thi usko Shahzade ko paane ki..

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.





Bura padosi agar hai toh ghar ko kyun badle'n..
Ham uska zehn badalne ki baat karte hain..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.





Mai jiske hijr me din raat roti hun wahi ek din..
Mere haatho'n me apne naam ki mehndi rachayega..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.





Koyi shikwa na kiya daad-e-jafa di mai ne..
Zabt-e-girya ki Qasam tum ko dua di mai ne..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.

No comments: