Saturday, October 9, 2010

urdu poetry part 350

Mujh ko kiya hai SAIF Qana'at ne beniyaz..
Hairaan hain sabhi ke mai kaisa ameer hun..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.





Salwat mere chehre pe nazar aayegi tum ko..
Kuchh haal mera mere bichhone ki tarah hai..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)





Haasil nahi hai Qurb tumhara toh gham nahi..
Be-iltifatiya'n bhi toh rahat se kam nahi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Padh ke dekhe'n kabhi tareekh Ababeelo'n ki..
Haq pe Ghalib koyi Lashkar nahi aane wala..

SHAYIR:
WASIM MALIK,
Surat. (Gujar





Zehno'n me panapti hai Hawas jinke mere dost..
Kuchh aur woh karte hain Mohabbat nahi karte..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.





Guma'n hota hai ye tanhayi me aksar mujhe KHUSHBU.
Mere haatho'n ke kangan dheere se khanka gaya koyi.

(KUSUM KHUSHBU)





Toota tha zehn se teri yaado'n ka silsila..
Soorat dikha ke tu ne toh betaab kar diya..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
(Hari Har)





Woh boodhe haath mazdoori ki khatir jab bhi uthte hain..
Sadak par toot'ta har ek patthar rone lagta hai..

(WASIM RAJUPURI)





Tamaam umr andhero'n se meri jang rahi..
Bujha charagh toh dil ko jala liya mai ne..

SHAYIR:
TABISH MEHDI,
(New Delhi)





Hame'n barbadiyo'n par apni pachhtawa nahi lekin..
Yahi dar hai ke mulzim aap ko gardana jayega..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.

No comments: