Monday, October 11, 2010

urdu poetry part 352

Suna hai khamoshi bhi pyar ka iqraar hoti hai..
Mai ab samjha khato'n ke kyun jawab aaya nahi karte..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI





Chhupa sakte nahi ham se kabhi tum raaz-e-dil apna.
Hasee'n aankho'n ke woh bheege kanare ham ne dekhe hain.

(ILYAS RAHAT)





Kya janiye kis haal me hai mera padosi..
Kal se mere ghar me koyi patthar nahi aaya..

SHAYIR:
TABISH MEHDI,
(New Delhi)



Aawaaz-e-Haq buland kabhi kar ke dekh lo..
Hoga tumhe yaqeen ke behre bhi log hain..

SHAYIR:
WASIM MALIK. Surat.
(Gujarat)





Khaar hain ham ke khatakte hain dilo'n me paiham..
Phool hote toh mazaro'n pe chhadaye jaate..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI.





Iftira-pardaaz logo'n ki ZIA is bheed me..
Haath baandhe chup khadi hai ek taraf sachchayiya'n..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI.





Chalenge saath lekin umr bhar ye mil na payenge..
Nadi ke do kanaro'n ki kahani bhi nirali hai..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.





Atak ke reh gayi honto'n pe rukhsati ki dua..
Gaya woh aise ke ham haath bhi mila na sake..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)





Zinda rehti hai Burayi ya Bhalayi kuchh bhi ho..
Maut aayegi tumhe par ye Amal marte nahi..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Muddato'n ke baad jab ham mil gaye toh yu'n laga..
Jaise Sadiyo'n ki masafat ho gayi Lamho'n me tay..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN.

No comments: