Friday, October 22, 2010

urdu poetry part 361

 (Poetry)
START
GHAZAL4U
And send it to 09223050606
(Spoken English)
START
LEARNENGLISH

And send it to 09223050606
(Islamic Voice)
START
MAKKI MADANI

And send it to 09223050606
(News)
START 
MODERNWORLD

And send it to 09223050606
(ownership)
START
ARABIANSEA
And send it to 09223050606
(happy news)
Get your English updated!!!
Dear lovers of Spoken English ,
if you wish to enjoy short & Sweet ''English Sentences of Everyday Use" with Urdu translation on your mobile, you may activate this FREE service and get your English updated.
for activation sms:
START LEARNENGLISH
&
send to
09223050606

 FOR Internet users
            VISIT  

http://english4allofu.blogspot.com/


 
 Haif ye aazadi-e-niswa'n ka aalam dekhiye..
Bhes me Ladko'n ke ab phirne lagi hain Ladkiya'n..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.



Is Qadar kyun tang hai BURQA tera Ay naznee'n..
Kya numayish jism ki karna tujhe maqsood hai ???

SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL.



Ban kar woh SHER phirta hai dunya ke saamne..
CHOOHA hai aage Biwi ke har Pehlawan bhi..

SHAYIR:
RAHAT HARARAT,
(Ambur)





Koyi us shakhs se puchhe ibadat kisko kehte hain..
Jo din bhar apne bachcho'n keliye RICKSHAW chalata hai..


(WASIM RAJUPURI)





Lillaah poochhiye na aziyyet woh Bhook ki..
Faqa-kashi ne usko Tawayif bana diya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali,
(Karnataka)





Har aadami Odhe hai taqaddus ka Labadah..
Lagta hai yaha'n koyi gunah-gaar nahi hai..

SHAYIR:
TABISH MEHDI,
(New Delhi)





Har ek mitti ki khaslat nahi wafa karna.
Bahut se paude toh gamlo'n me sookh jaate hain.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)





Raha Saiyaad ka khatra na khauf-e-barq ab baaqi..
Huwa hai khaak tinka tinka jab se aashiyane ka..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.





Alamat hai yaqeenan ye bhi ek zehni ta'attul ki..
Baqaid-e-hosh shughl-e-jaam-o-baadah kaun karta hai..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI





Gham toh insaan ka dushman hai yaqeenan RASHID..
Had se badh kar toh Khushi bhi nahi Achchhi hoti..

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.





Ummeed-o-aarzu se ibarat hai zindagi..
Insaan ka vujood hai
sar-ta-pa ehtiyaaj..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali,
(Karnataka)





Aayega kab khabar nahi parwana-e-Qaza.
Itna na dil lagayiye faani hayaat se.

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
(Chickballapur)





Barkat zaroor aayegi ghar me tere ZIA..
Khaane se pehle roz tu Mehma'n talaash kar..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
(Bangalore)



Koyi bhi gham ho dil me aise aa kar baith jaata hai..
Nadi ke tah me jaise ja ke patthar baith jaata hai..

(WASIM RAJUPURI)





Dard ki ye lahre'n hain dosto haqeeqat me..
Tum jise samajhte ho Shayiri ka fan mera..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.