Sunday, November 7, 2010

urdu poetry part 364

For Learning English sentences of Everyday Use with Urdu & Hindi translation,

send sms
START LEARNENGLISH
to 09223050606



Kisi Ghareeb ki aankho'n me jhaank kar dekho..
Pata chalega tumhe bhi ke Muflisi kya hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.





Muflisi kitni khatarnak hai tum kya jaano..
Ye salamat koyi rishta nahi rehne deti..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)





Sun ke dastak na samajh lena ke Sayil hoga.
Dekh chokhat pe Madadgaar bhi ho sakta hai.

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Mai uski shakl me khud ko talaash karta hun.
Jo aadmi mujhe be-ghar dikhayi deta hai.

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Woh boodhe haath mazdoori ki khatir jab bhi uthte hain.
Sadak par toot'ta har ek patthar rone lagta hai.

(WASIM RAJUPURI)



Zamane bhar ke gham ka bojh dil par toot jaata hai.
Kisi muflis ka jab Barish me chhappar toot jaata hai.

RASHID RAJUPURI

No comments: