Friday, August 13, 2010

urdu poetry part 303

Labrez hain woh uske khazane toh aaj bhi..
Ham hi magar woh maangne wale nahi rahe..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Dene wala hai wahi Maang usi se lekin..
Pehle tu apni duawo'n me asar paida kar..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Bangalore...



Ye zamana
husn-o-shabab ka hai zamana chaar hi roz ka..
Tujhe naaz jis pe hai naznee'n woh tamaam umr raha nahi..

(BISMIL)



Ma'siyet se tu agar khud ko na rakh payega door..
Toh tera Rozah tere kuchh kaam aa sakta nahi..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)



HADEES:
Prophet (pbuh) said:
A servant, if he acknowledges his sin & then repents, Allah will forgive him.
[Muslim (2770)]


Jhukegi kis tarah dunya tere Qadmo'n pe Ay nadaa'n.
Ke tu bazu-e-Haider ki hararat bhool baitha hai.

SHAYIR:
A.KHALIQ ANEES.



Dhutkaarna faqeer ko mehnga pada usay.
Kaasa-badast aaj woh phirta hai dar-ba-dar.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)



Dukho'n ki dhoop seh kar jo suku'n ki chhao'n dete hain.
Hame'n kyun kar wahi budhe shajar achchhe nahi lagte.

KUSUM KHUSHBU



Hai maal jaha'n me ek fitna kyun iski tamanna karte ho.
Jo saath na jayega apne tum uska zakheera karte ho

(RAFFATH ASIFI)



Hukm-e-safar jo aaya toh rukhsat huwe makee'n..
Diwaar-o-dar pe likkhe huwe naam reh gaye..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.

No comments: