Tuesday, August 17, 2010

urdu poetry part 306

Jisne Mabaap ki khidmat ka maza chakkha hai..
Usko maloom hai Allah ki rahmat kya hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Sach toh ye hai
ranj-o-gham hi us se behtar hai RAZA..
Dil dukha kar ho jo hasil woh khushi achchhi nahi..
-
SYED HAIDER RAZA



Hai janaze par jama zardaar ke
jamm-e-ghafeer.
Marg-e-muflis par yaha'n aansu bahata kaun hai??

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali



Gumrahiyo'n ke utne hi khulte rahenge dar..
Jitne bhi door hoge Khuda ki kitaab se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Prophet (pbuh) said:
May Allah brighten the face of the person who hears what I say & retains it, then conveys it to others.



Siyasi aag ke chulhe pe jo taiyar karte hain.
Ham aise Luqma-e-tar se kaha'n iftaar karte hain.

SHAYIR:
WASIM MALIK, Gujarat



Yaha'n mazboot se mazboot Loha toot jata hai.
Kayi jhoote ikhatte ho'n toh Sachcha toot jata hai.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Badaun



Farogh-e-ilm ka maqsad Amal ka saath hona hai..
Magar afsos insaa'n ye rafaqat bhool baitha hai..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES



Ghareeb insa'n kaha'n Daulat ki kheti kaat payega..
Yaha'n jo Rupya boyega wahi Dollar ugayega..

SHAYIR:
MASROOR TABISH.




Uske saare Aaib daulat ne bana daale hunar.
Mai sarapa bojh hun Sau khoobiyo'n ke baad bhi.

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI, (U.P.)

No comments: