MAA ki Azmat puchhiye
IBN-E-HASAN us shakhs se.
Kat rahi hai umr jiski MAA ki mamta ke baghair.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Ay meri MAA teri aankho'n me hai mamta meri..
Tere Qadmo me meri zeest ka sarmaya hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Badla kaha'n hai tera mere paas meri MAA.
Mera vujood teri mohabbat ki dain hai.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
(Bangalore)
Khuda ne god ko MAA ki ajab ta'seer bakhshi hai..
Lipat jaata hu'n MAA se jab thakan mehsoos hoti hai..
SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Andhere raasto'n me saath mere roshni ban kar..
Duaaye'n hain meri MAA ki jo mere saath chalti hain..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
MAA ne saha jo
dard-e-wiladat tere liye.
Ta-umr uska haq na ada kar sakega tu.
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur.
Har museebat se bachaya MAA duawo'n ne teri..
Tera aanchal
ranj-o-gham ki dhoop me saya bana..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Bita di zindagi bachcho'n ne MAA ki khidmat me.
Udhaar Doodh ka baqi raha sada phir bhi.
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment