Teri yaado'n k baadal ka ye adna sa karishma hai.
Ghata gham ki jo uthti hai suhani hoti jaati hai.
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI
Khud raasta banata hun manzil ke waaste..
Daman kisi ka thaam ke chalta nahi hun mai..
SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri...
Bazahir ye jo nasheman hai chand tinko ka..
Mahal hai asl me mere haseen sapno ka..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Uski aankho'n se gire honge tadap kar aansu..
Ho ke majboor mera khat jo jalaya hoga..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI (U.P.)
Haqeeqat ishq ki kya hai na puchho ghaao hai dil par..
Musalsal bas nazar aati hai ek aazaar ki soorat..
-
SIBTAIN PARWANA
Tere liye toh jaan bhi hazir hai Ae sanam..
Ek bar dekh pyar se mujh ko pukaar ke..
SHAYIRAH:
NUZHAT Amrohi...
-- -- -- --
Naam rakkha hai MAHEK soch samajh kar mai ne.. Dekh sakta nahi koyi na koyi chhu sakta..
-- -- --
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Fikr suljhe toh phool hoti hai,
Warna khar-e-babool hoti hai..
Dard shamil na ho agar GOUHAR,
Sher-goyi fuzool hoti hai..
Inkaar bhi karte hain woh mujh se mohabbat ka..
Takye me magar meri tasweer bhi rakhte hain..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Chalo Ab aa bhi jaao mai bahut bechain hun tum bin..
Shab-e-furqat ka har lamha sadi maloom hota hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
No comments:
Post a Comment