Woh khelti thi dosto Bachpan me mere saath..
Ab haal ye hai Mujh se hi sharma rahi hai woh..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Ek umr huwi hai k tarasti hain ye aankhein..
Aankho ki mere pyas bhujane keliye aa..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam.. HUBLI
Le Le ke tera naam jalata hai zamana..
Ek bar zamane ko jalane keliye aa..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Shimla nagar Hubli.
Khud par pehre lakh bitha le Lakh rahe tu parday me.
Sagar jaisi aankho wale mai tujh ko pehchan gaya.
SHAYIR:
Shameem Hayat
Lag jaaye aap ko na kisi ki nazar kahein..
Ghar ja ke apne husn ka sadqa utariye..
(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606
Shakl apni bhi zara dekhle behtar hoga..
Aayina mujh ko jafawo ka dikhane wale..
SHAYIRAH:
ISHA NAAZ, PUNJAB....
Hamari zaat hi mumkin hai teri Manzil ho..
Kabhi toh apne kadam b utha hamari taraf..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
HUBLI
Gham-e-hayat pe Rang-e-suroor chha jaaye..
Zara sa Dast-e-hinayi badha hamari taraf..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, HUBLI.
Tumhari yaad ne ab tak bacha ke rakkha hai..
Tumhari yaad na hoti toh mar gaye hote..
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata..
'Lakh koshish ki tujhe dil se bhulane ki magar.'
Phir bhi is dil se teri yaad bhulayi na gayi.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
No comments:
Post a Comment