Diya jab usko dil apna khula ye raaz tab mujh par.
Woh Zalim hai Sitamgar hai Ghazab dhane me mahir hai.
-SHABNAM Bhatkali
Chand taare udas lagte hain,
Phool saare udas lagte hain.
Tu nahi saath toh mere Hamdam,
Sab nazare udas lagte hain.
-BISMIL
Baat jo dil me hai woh kaise zaban pe lawoun.
Jab woh milti hai toh badh jaati hai dil ki dhadkan.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
Bolta tha wo bahut hi chup kabhi rehta na tha..
Mujh se lakin wo kabhi kuchh haal-e-dil kehta na tha..
SHAYIR:
Shameem hayat
Bolta tha wo bahut hi chup kabhi rehta na tha..
Mujh se lakin wo kabhi kuchh haal-e-dil kehta na tha..
SHAYIR:
Shameem hayat
Ailan-e-mohabbat koyi mushkil toh nahi hai..
Par mujh ko ye dar hai k tu ho jayegi ruswa..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Sawal karne me yu mujh ko khof aata hai.
Umeed toot na jaye kahein jawab ke saath.
SHAYIRAH:
MEENA NAQVI
Aghwanpur,Moradabad
Mujhe tu bhi kaise bhulayega Mera naam kaise mitayega..
Mere dost aayina dekhle Mai teri jabeen ki lakeer hun.....
Phool Sitare aur Qamar,
Aaj bichhe hain raaho par..
Shaam dhali hai aa jao,
Dhoond rahi hai chashm-e-tar..
SHAMEEM HAYAT
Hum bhi tumhari tarha wadau se gar mukarte..
Tanhayiyo k gham se tum toot kar bikharte..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (GOA)
Dil ko sukoon nahi hai, bahut bekarar hai..
Hum toh tumhare gham me tadapte hain raat din..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
No comments:
Post a Comment