Ay Mahek khwabo'n ki dunya me bhatakna chhod de..
Ab bhi hai mauqa sambhal ja warna pachhtayegi tu..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Khud tumhari hi nazar tum ko na lag jaye kahein..
Ban sanwar kar aayine ke saamne mat jayiye..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Hasrat-e-deed meri aur badhi aur badhi..
Pyaas ko usne badhawa diya parda kar ke..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...
Insaaf karne walo'n ne insaaf kar diya..
Woh Bequsoor tehra hai Lekin saza ke baad..
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Bangalore.
Mai ne kitno'n ko samandar se nikala baahar..
Jab mai dooba toh kanare pe koyi tha hi nahi..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
(BHATKAL)
No comments:
Post a Comment