Aankho'n me aa gayi hai nami itna soch kar..
Bichhda hai jo na aayega wapas woh laut kar..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI.
Hasb-e-ma'mool nahi aaye woh wada kar ke.
Dar hai rakh de na ye aadat unhe tanha kar ke.
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Raaz parwana ki ulfat ka koyi kya samjhe.
Shama-e-mehfil ko abhi aur jalaya jaaye.
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Katihar, (Bihar)
Baya'n karta nahi hun soch kar ye haal-e-dil apna..
Mere apne bhi shamil thay mere ghar ko jalane me..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Kabhi khat ko tere chhupa liya Kabhi ashk aaye toh pi liye.
Meri zindgi toh guzar gayi Isi parda dari-e-raaz me.
K.FATEHPURI
Lamhe khushiyo'n ke bahut jald guzar jaate hain..
Gham ke lamhe toh kisi tarha guzarte hi nahi..
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI.
Riwayet se jo apne aap ko rakhte hain wabasta..
Nazar me ahl-e-jiddat ke woh daqiyanoos hote hain..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI.
Nas nas me lahu ban ke dawdti hai teri yaad..
Ab tu hi bata kaise koyi tujh ko bhulaye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnataka)
Teri nazro'n me mohabbat ko padh liya mai ne..
Mujh ko duzdida nigaho'n se dekhne wale..
SHAYIR:
Dr. Tahir Malik Deewana
Islaam hai Aalao hai Namrood hai magar..
Imaa'n tera khaleel sa khalis nahi raha..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.
No comments:
Post a Comment