Dil me hasad liye hai jo phoolo'n se baaghba'n.. Sehn-e-chaman me aayegi fasl-e-bahaar kyun..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Darega kaun tashaddud ki teergi se NADEEM.
Hamare paas azaayim hain chandani ki tarah.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Yaha'n par Khoon sasta hai koyi Qeemat nahi uski.
Ta'ajjub hai yaha'n Paani ki Qeemat kam nahi hoti.
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI
For the promotion and upliftment of
URDU POETRY
Please co-operate with us by persuading your
dear ones to activate GHAZAL4U.
Aaqibat barbaad kar degi ye aadat aap ki..
Yu'n na har ek baat par jhooti Qasam khaya karo..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Aap ne chaha tha jaisa uska ulta ho gaya..
Zehr-e-gham peene se bhi bimar achchha ho gaya..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
Woh shakhs kya jiyega zamane me shaan se..
Jo shakhs dushmano'n se muqabil me dar gaya..
SHAYIR:
YAQOOB MOHSIN,
Meerut.
Rok sakti thi magar ruswayiyo'n ke khauf se..
Dil pe patthar rakh ke usko alvida kehna pada..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK...
Azayim me mere shaheen si parwaz hoti hai..
Sitaro'n se bhi aage apni manzil dekh leta hun..
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.
Jab bhi tum usko bujhawoge bhadak utthegi..
Ishq woh aag nahi hai jo bujha de koyi..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment