Apni tanhayi ki shiddat dil pe jab taari huwi..
Ek sanjeeda Ghazal kehne ki taiyari huwi..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
(Bihar)
Mera dil tere ta'aqub me nikal jayega..
Mai toh reh jaounga tanha tujhe rukhsat kar ke..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore..
Tum tasauwur se haqeeqat me badal jawoge..
Jab koyi geet akele me kabhi gawunga..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi. (U.P.)
Dil me hasad liye hai jo phoolo'n se baaghba'n.. Sehn-e-chaman me aayegi fasl-e-bahaar kyun..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Darega kaun tashaddud ki teergi se NADEEM.
Hamare paas azaayim hain chandani ki tarah.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Yaha'n par Khoon sasta hai koyi Qeemat nahi uski.
Ta'ajjub hai yaha'n Paani ki Qeemat kam nahi hoti.
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI
Aaqibat barbaad kar degi ye aadat aap ki..
Yu'n na har ek baat par jhooti Qasam khaya karo..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Aap ne chaha tha jaisa uska ulta ho gaya..
Zehr-e-gham peene se bhi bimar achchha ho gaya..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
Woh shakhs kya jiyega zamane me shaan se..
Jo shakhs dushmano'n se muqabil me dar gaya..
SHAYIR:
YAQOOB MOHSIN,
Meerut.
No comments:
Post a Comment