Tamannaye'n hazaro'n uske seene me machalti hain..
Jawa'n hote huwe jab dekhta hai BAAP bachcho'n ko..
-
SHAMEEM KIRATPURI
Tamannaye'n hazaro'n uske seene me machalti hain..
Jawa'n hote huwe jab dekhta hai BAAP bachcho'n ko..
-
SHAMEEM KIRATPURI
Yu'n toh hamdard Padosi bhi hain aur Bhayi bhi..
BAAP ka koyi magar pyar nahi de sakta..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)
Meri khatir meri MAA ki bahut Qurbaniya'n hain hi.
Magar WALID k ehsanat b kuch kam nahi mujh par.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
RAHAT zayeef BAAP hai bachcho'n pe bojh ab..
Jaise na koyi cheez ho bekaar BAAP se..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Khana-badosh ho gaye hasti ujaad li..
Bachcho'n ke chand khwab sajane ke waaste..
SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi. (U.P.)
Mujh ko WALID ne sikhaya hai ladakpan se yahi..
Kaam aane me hi auro'n ke hai jeene ka maza..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Afsos uski shaakh pe patte bhi nahi hain..
Lekin shajar mila tha samar-daar BAAP se.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Kabhi usne bhi apne BAAP ko shayed sataya tha..
Usay aulaad ab uski bahut yaaro sataati hai..
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.
BAAP toh bojh uthata hai bhala kya deta..
Isliye Beti kunwari hai abhi tak uski..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Haran bari. (Kolkata)
No comments:
Post a Comment