Woh mere saamne hansta huwa bichhda lekin..
Mai ne jab ghoom k dekha usay rota dekha..
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta.
Waqt ki dhool nazar aayi thi peshani par.
Mai ne sheeshe me jab apna kabhi chehra dekha.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta.
Woh jab bhi aa gaye hain uthaye huwe naqab.
Har samt wadiyo'n me ujale bikhar gaye.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi Pukhta (U.P.)
Khabar kab thi hame'n tark-e-ta'alluq me bhi
Ay AARIZ.
Bhulane ki bhi koshish me woh aksar yaad aayenge.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN
Ban jaaye na kahein ye teri haar ka sabab.
Takiya kiye huwe hai purani kamaan par.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta. (U.P.)
The address of "BATOOL" is:
Monthly BATOOL (Khawateen Digest) Idara-e-Alhasanat.
Purani Khandsar, Rampur (U.P.) 244901.
Dear readers,
Agar aap GHAZAL4U ke Sho'ra ki Ghazalo'n se lutf andoz hona chahte hain toh padhte rahiye...
"BATOOL DIGEST"
The TOP-5 couplets of every Poet of GHAZAL4U that published before,
will be Republished every morning.
PLEASE DO READ THEM!
The TOP-5 couplets of every Poet of GHAZAL4U that published before,
will be Republished every morning.
PLEASE DO READ THEM!
Insha'allah kal sawere se rozana 1 shayir k
TOP-5 ash'aar jo GHAZAL4U me maqbool ho chuke hain Republish honge.
Zarur padhiye
No comments:
Post a Comment