Tuesday, July 13, 2010

urdu poetry part 274

Kharaash kaanto'n ki lekar chaman se laute hain..
Nazara karne chale thay jo log phoolo'n ka..


SHAYIR:
AHMED NAZEER...



Likh likh ke khat uda diye ham aasman par..
Paigham Baab-e-yaar pe pahoncha gayi hawa..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Hasrat-e-deed meri aur badhi aur badhi..
Pyaas ko usne badhawa diya parda kar ke..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...



Rashk aata hai taraqqi pe meri sab ko magar..
Jaanta koyi nahi kitna paseena nikla..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Hansi ko bech ke aansu khareed laate thay..
Tamaam umr yahi karobaar ham ne kiya..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



TAHIR na puchh uski nigaho'n ki saahiri..
Nazro'n se meri mera hi didaar kar gaya..


SHAYIR:
TAHIR MALIK,
Rampur Maniharan.



Hame'n achchha nahi lagta hai yu'n rona magar Hamdam.
Tumhari yaad aati hai toh aankhe'n bheeg jaati hain.


(SHEHNAZ GHAZAL)



Khair ho Ya'allah mohabbat walo'n ki..
Chhat par meri zakhmi kabutar aaya hai..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari. (U.P.)



Woh Netha kya bhala denge Ghareebo'n keliye Roti..
Ghareebo'n ke niwalo'n se jo apna pet bharte hain..


SHAYIR:
ILYAS AFAQUE



Dil ke har tareek goshe me ujala ho gaya...
Jab tasauwur me tumhe Ay Hamsafar laya kiye...


SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi...














No comments: