Log har baat ka afsana bana dete hain..
Apne aanchal ka meri Qabr pe saya na karo..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Seedha sa ek sawal tha lekin woh mah-jabee'n..
Zaanu pe sar jhukaye bahut sochti rahi..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Kar rahi hai Maut peechha Zindagi ka is tarah.
Jaise Bulbul ke ta'aqub me koyi Saiyad hai.
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Samajh rahe hain woh Gulchee'n ko
Paasban-e-chaman..
Gulo'n se keh do ke ab gulsita'n ki khair nahi..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM.
Beh na jaaye kahein armaan ye aansu ban kar..
Band aankho'n me koyi khwab sajaya na karo..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Hazaro'n aafate'n aa kar bashar ke saath chalti hain..
Museebat me ghira insaa'n kabhi tanha nahi rehta..
-
ISHWAR DATT ANJUM
Ashiya'n mera jala toh mujh ko andaza huwa.
Unke haal-e-zaar ka Ke jinke jal jaate hain ghar.
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal.
Ham na bhejenge koyi pyar ka khat aap ke paas..
Aap masoom prindo'n ko jala dete hain..
SHAIYR:
SARDAR PANCHHI,
Ludhiana.
Ham ko aate nahi
adaab-e-mohabbat lekin..
Ishq paband-e-zuba'n ho ye zaroori toh nahi..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA
(Shamli)
Jisko dastaar ka karte huwe sauda dekha.
Qad usi shakhs ka is daur me uncha dekha.
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga
(Bihar)
No comments:
Post a Comment