Haseen shakl se matlab nahi mohabbat ko.
Woh ek ada hai jise dil pasand karta hai.
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnataka)
Baithne deejye Mekhwaar ko Wayiz ke Qareeb..
Sohbato'n se bhi khayalaat badal jaate hain..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
Zakir wahi hai zikr me jisko maza mile..
Aabid wahi hai sajde me jisko Khuda mile..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnataka)
Ye dard-e-mohabbat nahi har shakhs ki Qismat..
Kehte hain mohabbat jise uski hai kasak aur..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
Is se badi jahaan me daulat koyi nahi.
Woh khush-naseeb hain jinhe Maa ki dua mile.
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnataka)
Pahonch paate nahi us tak mere Khat kyun Khuda jaane..
Mere bheje huwe saare Lifafe laut aate hain..
SHAYIR:
NARESH NISAR.
Yahi ek aarzu hai saath mil jaaye tera mujh ko..
Mai tere waaste har ek museebat jhel sakti hun..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.
Roshani ban ke nazar me meri rehne waale.
Dil ki dunya me meri aa ke ujala kar de.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore
Jo jagmagata rahe teerah zindagi ko meri.
Tum apni yaad ka ek aaftaab rehne do.
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
Gurdaspur. (Punjab)
Hamsafar ham jinko ek muddat talak maana kiye..
Saath chalne se hamare woh hi katraya kiye..
SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
No comments:
Post a Comment