Aish-o-ishrat me hain beta aur bahu pardes me.
Chashm-e-maadar raah takte takte patthar ho gayi.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Aap ke kaase me bas hamdardiya'n dalenge log..
Dastan-e-gham zamane ko sunana chhod do..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Tahzeeb-e-nau ne aaj taraqqi ke naam par..
Aurat ke sar se sharm ki chadar utaar di..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Ek dosheezah ne karli soch kar ye khud-kushi..
Aaj shaadi Dukhtar-e-muflis se karta kaun hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Tu ek baar karle jo wada nibaah ka..
Ta-umr teri raah me baitha rahunga mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)
Yaha'n kis ko bahut din tak nishani yaad rehti hai.
Ye dunya hai ise apni kahani yaad rehti hai.
SHAYIR:
WASIM MALIK
(surat)
Muflisi kya hai woh ye raaz bata deta hai..
Khushk patto'n ko har ek ped gira deta hai..
SHAYIR:
UMAR DARAZ,
New Delhi.
Kya Ameeri kya Ghareebi chhodiye is baat ko..
Aadami kaisa bhi ho khuddar hona chahiye..
SHAYIR:
MASROOR TABISH
Rajupuri.
Tujhe namaz virasat me mil gayi warna..
Kaha'n woh soz-e-bilali teri azaan me hai..
SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.
Do gaam chala jab bhi mai naam tera le kar..
Raaho'n ne Qadam choome Manzil ne pukara hai..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
No comments:
Post a Comment