Is tarha pyar milta hai dunya me aaj kal..
Jaise kisi ko dhoop me shabnam naseeb ho..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Har taraf se mujh pe hamle ho rahe hain aaj kal.
Jaane mai kab ho gaya SADDAM tere pyar me.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore
Mai teri khoj me aawarah phira karta hun.
Din me Bhaunre ki tarah
Raat me Jugnu ki tarah.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Ek shikasta khwab ki tabeer mere paas hai..
Teri dhundlayi huwi tasweer mere paas hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Hoti hai bewafayi kaha'n har kisi ke saath..
Kehta kaha'n hai ishq me har aadami GHAZAL..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Unki khushi ke waaste Ham ne khushi ke saath..
Jo aashna thay unko bhi aghyaar keh diya..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI...
Hamare dosto'n me koyi dushman ho bhi sakta hai..
Ye angrezi dawaye'n hain Reaction ho bhi sakta hai..
SHAYIR:
HASEEB SOZ.
Shayed mujhe naseeb hai meraaj-e-aashiqi..
Hanste hain log mera garebaan dekh kar..
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)
Kuchh toh khud-daar hi aise ke kisi se na bani..
Kuchh hame'n teri mohabbat ne bhi tanha rakkha..
SHAYIR:
MASROOR TABISH.
No comments:
Post a Comment