Hai ghaneemat jis Qadar mil jaaye warna Zindagi..
Ek Diya hai jo Hawa ki zad pe hai rakkha huwa..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT (U.P.)
MAA ne lipat ke jab mujhe aaghosh me liya..
Mehsoos ye huwa ke me jannat me aa gaya..
SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)
Unke haath rehte hain manzilo'n ke shano'n par..
Qafile duawo'n ke jinke saath chalte hain..
SHAYIR:
SAIF DEOBANDI...
Apne dosto'n ke mobile par GHAZAL4U Activate keejye aur URDU SHAYIRI
ko ghar ghar pahonchane me hamare saath ta'awoon keejye.
Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
575758
Jhoot chhup sakta nahi tum lakh parde daal do..
Jhoom kar angdayi lengi ek din sachchayiya'n..
SHAYIRAH:
ANU JASROTIA. (J&K)
Usay zaroor dagha di hai uske apno'n ne..
Woh jab bhi dekhye thanhayiyo'n me rehta hai..
SHAYIR:
RASHID RAJUPURI, (U.P.)
Jab woh Dushman tha koyi khauf nahi tha mujh ko.
Uske badle huwe jazbaat se dar lagta hai.
SHAYIRAH:
URMILA URMI,
(Gujarat)
Nahi gar ponchh paye'n ham kisi mazloom ke aansu..
Toh phir kis kaam ke ye seem-o-zar achchhe nahi lagte..
(KUSUM KHUSHBU)
Gham
Dard
Ashk
Gardish-e-shaam-o-saher Junu'n..
Kis kis ki nazr kar du'n meri mukhtasar hayaat..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI.
No comments:
Post a Comment