Rafaqato'n ka zamana nahi raha ab toh..
Jise bachaoge woh hi tumhe dubo dega..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.
Saharanpur. (U.P.)
Hans lena Gham me apni aadat si ho gayi hai..
Phir kyun rulane ham ko kuchh yaar aa rahe hain..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.
Nashsha-e-daulat pe aakhir kisliye itna ghuroor.
Aaj jo darya chhade hain kal utar jaane bhi hain.
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI
Gunaho ko chhupa kar ho gaye ho mutmayin lekin,
Bacha pawoge khud ko kis tarah uski adalat se??
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
HADEES:
"Without doubt, Charity saves you from the wrath of Allah, and banishes (gets rid of) a bad death". (Tirmizi)
Zindagi hai dar-haqeeqat subh ka sapna koyi..
Kaun jaane kis ghadi woh toot jaye kya khabar..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT...
Ab yaha'n udte hain har samt shikari panchhi..
Ab yaha'n koyi Kabutar nahi aane wala..
SHAYIR:
WASIM MALIK,
Surat. (Gujarat)
Khanda-jabi'n se deejye amwaal ki zakath..
Qabze me aap ke hai amanat ghareeb ki..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Tere karam pe hain sab faisle mere Mola..
Gunahgaar hisab-o-kitab kya jaane..
SHAYIR:
YAMEEN FAIZI,
Garhi pukhta (U.P.)
Chamakti hain jabeene'n rozah-daro'n
Haq-guzaro'n ki.
Muyassar aayi hain inko sa'adat Tees Rozo'n ki.
(RAJENDAR NATH REHBAR)
No comments:
Post a Comment