Badal leta hai raste ko magar chalta hi jaata hai.
Jo ruk jaye kisi patthar se dhara ho nahi sakta.
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.
Imarat khokhli buniyad par Qayim nahi rehti.
Na ho ikhlaas toh phir Dosti ka kya bharosa hai.
SHAYIR:
WASIM MALIK,
(Gujarat)
Bheek de deta toh kyun jaan ke laale padte..
Jisko samjha tha Bhikari woh Qalandar nikla..
SHAYIR:
RASHID RAJUPURI. (U.P.)
Mazloom apni jaan bachatay toh kis tarah..
Tha charah-gar ke bhes me Qatil chhupa huwa..
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI
(Karnataka)
Mazloom apni jaan bac**** toh kis tarah..
Tha charah-gar ke bhes me Qatil chhupa huwa..
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.
(Karnataka)
Ye taghaiyur hai siyasi Inqilab-e-haq nahi..
Jo tha kal tak Beerbal woh Akbar-e-aazam hai aaj..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.
Gar sahib-e-nisaab ho karte ho bukhl kyun..
Daulat ko paak keejye de kar zakath ko..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF...
Har cheez zamaane ki 2 din ki amanat hai..
Harjayi hai har lamha tera hai na mera hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Bhala karo na karo par burayiyo'n se bacho..
Na jaane kis ghadi kis tarha ka azaab aaye..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Ham int ke badle me ataa karte hain patthar..
Ehsaan kisi ka kabhi sar par nahi rakhte..
SHAYIR:
SHAMS Deobandi, (U.P.)
No comments:
Post a Comment