Rang layegi hina kaise hatheli pe meri..
Tum nahi ho toh bhala EID ki khushiya'n kaisi..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Paigham-e-khushi laaye saba yu'n ke chaman me..
Bulbul se kahe jhuk ke Saman EID MUBARAK..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)
Hai kasak kaisi ye RAHAT is baras ki EID me.
Jab kaha tum ne Mubarak bhar aayi'n aankhe'n meri.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Dilo'n se ranjisho' ko door karle aa gale mil le'n.
Kaha'n tham jaye saanse'n zindgi ka kya bharosa hai.
SHAYIR:
WASIM MALIK
Reh reh ke yaad aayegi har baat aap ki..
Is baar EID dil pe chalayegi barchhiya'n..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.
Saharanpur. (U.P
Meri nazar ko tumhari jo deed ho jaaye.
Toh meri EID se pehle hi EID ho jaaye..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI,
Saharanpur. (U.P.)
Khula rakkha hai mai ne soch kar ye kal se darwaza.
Koyi toh aayega mujh ko Mubarakbad kehne ko.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Najane is baras aaya hai kaisa EID ka manzar..
Dhali hai shaam par koyi gale milne nahi aaya..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Ay dost ! Yu'n toh EID manayenge ham magar..
Tere baghair chaand bhi dekha na jayega..
SHAYIR:
MASROOR TABISH,
(Rajupur)
Muddat ke baad EID manane chala tha mai..
Achchha huwa ke aaj teri yaad aa gayi..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore...
No comments:
Post a Comment