Aaj bhi aksar uske meethe bol sunayi dete hain..
Jabke uski soorat dekhe
ek zamana beet gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Mere geeto'n ko akele raat ke pichhle paher.
Lait kar bistar pe apne gungunata kaun hai.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari
Gungunati huwi aayi hain Hawaye'n aise..
Tum ne chupke se mera naam liya ho jaise..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Nawazish jaan kar har ek sitam ko aap ke mai ne.
Khuloos-e-dil se ulfat ki riwayet ko nibhaya hai.
SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
Karti hai yu'n bhi baat mohabbat kabhi kabhi..
Nazre'n mili na Hont hile baat ho gayi..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.
Mai ne bachcho'n ko laga rakkha hai baato'n me abhi..
Kaash jaldi se guzar jaaye khilone wala..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.
Agar AJMAL mujhe anjam-e-ulfat ki khabar hoti.
Mai uske waaste ruswa sar-e-mehfil nahi hota.
SHAYIR:
TANWEER AJMAL
Deobandi.
Kaha'n dilo'n me khushi Har taraf udasi hai.
Ye gham Yazeed sa hai zeest Karbala si hai.
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi.
Jo aurat zaat ki di se badi ta'zeem karta hai..
Nigaah-e-bad se uski bhi Bahen mahfooz rehti hai..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.
No comments:
Post a Comment