Sambhalo aap apne ko nazakat waqt ki samjho.
Raha ye haal toh meri bhi himmat toot jayegi.
SHAYIR:
NARESH NISAR.
(Surajpur)
Chhod de nadaniya'n ab tu nahi Bachcha HAYAT.
Dawdna titli ke peechhe na-gahaani chhod de.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Hayil rahi zuba'n teri rishto'n ke darmiya'n..
Jab bhi chali dilo'n ki ye doori badha gayi..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH.
Ham tajribo'n ki dhoop me sadiyo'n jale WASIM.
Bargad ke neeche baith ke Gyani nahi huwe.
SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujar
Bhool kar bhi na kabhi koyi tamanna karna..
Warna pad jayega kaanto'n pe guzara karna..
SHAYIRAH:
ANU JASROTIA. (J&K)
Bhanwar se bach nikalne par bahut maghroor mat hona..
Kanaaro'n par bhi aa kar log aksar doob jaate hain..
(SHAMS DEOBANDI)
Woh bewaqoof sar-e-raah daal kar sikke..
Har ek shakhs ki pehchan karna chahta hai..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Us shaam ki tanhayi bana deti hai pagal..
Jis roz bhi tum shaam ko chhat par nahi aate..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI. (U.P.)
Jo Tayir apna koyi aashiyana hi nahi rakhta.
Gulista'n me usay andesha-e-barq-o-sharar kya hai.
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
No comments:
Post a Comment