Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606
Tere bichhadne ka dil ko koyi malaal nahi.
Tu Sukh ka saathi tha Dukh me guzaarta kaise.
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Rishte nahi thay goya gharonde thay raith ke..
Haasid ne jinko round ke mismaar kar diya..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH...
Gham mila toh kya gham hai sabr kar
dil-e-nada'n..
Sabr ka sila insaa'n dair se hi paata hai.
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.
Agar mil kar na bichhde'n pyar karne ka maza kya hai.
Wahi bimar rehti hain jo aankhe'n nam nahi hoti.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT.
Paiso'n ke masiwa unhe aayega kya nazar..
Aankho'n pe jinki bandh gayi'n daulat ki pattiya'n..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Ghurbat ka ye aalam hai ke dhanwaan ke hatho'n..
Mazdoor ka bikta huwa tan dekh raha hun..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
Aur phir jaise ko taisa ek masal mash'hoor hai..
Aap bhi waise kaha'n thay Ham agar aise na thay..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI.
Keh kar gaye thay laawunga mai surkh pairhan..
Laute woh itni dair se dena pada kafan..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
If you wish to enjoy Ghazals of your favourite
GHAZAL4U'S Poets,
You are requested to
visit www.ghazal4you.blogspot.com
No comments:
Post a Comment