Friday, May 14, 2010

urdu poetry part 16

Zehn me mere aksar uljhane'n sulagti hain..
Kab milega chhutkara roz ke masayil se..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(Bhopal)



Chidiyo'n ke chehchahe bhi agar nagawar hain..
Aangan me koyi ped lagate ho kis liye..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
(Bihar)


Jab jab mujhe bhulane ki koshish karogi tum..
Tasweer ban ke saamne aata rahunga mai..

SHAYIR:
RASHID JAMAL ANSARI,
(U.P.)



Choom leti hain jo
rukh-e-zaiba.
Ham se achhi hain baaliya'n teri.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari,
Ghari pukhta. (U.P.)



Meri ghazle'n jawaniya'n teri,
Tu shajar hai ye daliya'n teri.
Mere ash'aar teri baate'n hain,
Meri nazme'n kahaniya'n teri.



Teri yaado'n ka basera hai gulabo'n ki tarah.
Kyun na mahkega mere dil ka nasheman jana'n.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore



AAZAD jiske waaste sab kuchh ganwa diya..
Mujh se mila hai woh bhi badi berukhi ke saath..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.



Tumhari yaad ne ab tak bacha ke rakkha hai..
Tumhari yaad na hoti toh mar gaye hote..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata...





Kis qadar aasaan hai
hansne ke fan ko seekhna..
Tum ko khushiya'n
chahiye toh muskurahat baant do..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama



Is baat par k mai ne tumhe'n pa ke kho diya..
Mera vujood mujh se gale mil ke ro diya..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.




No comments: