Friday, May 14, 2010

poetry part 8

Layegi rang kis tarah aakhir khabar nahi..
Shamil Hina me
Qatra-e-khoone jigar nahi..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.


Kuchh is ada se mere saamne woh aaya hai..
Utha tha jo mere dil me ghubaar jata raha.

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(Bhopal)



Baat toh tab hai ke
zehn-o-dil ke darwaze khule'n..
Sirf aankhe'n kholne ka naam bedari nahi..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)



Teri yaado'n ke gulista'n ko sajane keliye..
Aansuwo'n se mai ne dho dali hain dil ki wadiya'n..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Jalta huwa ye dil hai magar aankh nam nahi..
Gham is qadar mile hain ke ab Gham ka Gham nahi..

SHAYIR:
ANWAR KAMAL,
Chennai.



Nazar aate hain ab kaante hi kaante raah me apni.
Hai shayed gaamzan manzil ki janib kaarwa'n apna.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI



Baap ke ausaaf ki koyi nahi usme jhalak..
Mar gaya jo Baap toh jageer me uljha raha..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)



Us se pehli hi mulaqaat thi lekin ye laga.
Jaise barso'n se meri us se shanasayi hai.

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM,
Bhatkal.



Woh ranj bhi dete hain Dete hain dilase bhi..
Rakhte hain mohabbat ka andaaz judagana..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Ilm ka noor yaha'n jisne pa liya Sargam..
Uske jeewan me ujale hi ujale honge..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
(Bangalore)

No comments: