Thursday, May 13, 2010

poetry part 3

Biwi ki mohabbat me na kar MAA ko faramosh..
Nadaan ! Tere haq me dua kaun karega ???

SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal.



Doodh pee pee ke tu jis MAA ka pala aur bada.
Tere ghar me usay 2 waqt ki roti bhi nahi.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari



Khushi se baandh leti hai shikam par apne woh patthar..
Magar bachcho'n ko Bhooke MAA kabhi sone nahi deti..

(IBN-E-HASAN)



MAA ki duawo'n ka ye natija hai dosto..
Khush-haal zindagi jo basar kar raha hun aaj..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
(Hari Har)


Ye soch kar hawa me jalaya hai ek charagh..
MAA ki duaaye'n saath hain toofa'n ka khauf kya..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.



Badlegi rukh ko dekhna taqdeer aaj bhi..
MAA ki dua me aisi hai ta'seer aaj bhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
Shamli. (U.P.)



Raaz koyi MAA se apni mai chhupa sakta nahi..
Dastan-e-dil mere chehre se padh leti hai woh..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Baad marne ke mai maghfoor kaha jaounga..
MAA tere zaanu pe kuchh dair sula le mujh ko..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore..



Jo saya Baap ka utth jaaye saari zindagi dobhar.
Magar Mamta na ho MAA ki toh Bachche toot jaate hain.

SHAYIR:
MAHB00B RAHI



Makhmal ke gaddo'n par leta hun lekin araam kaha'n..
Ay MAA teri godi jaisi neend kaha'n mil jayegi..

SHAYIR:
VIJENDR SAINI

No comments: