Thursday, May 13, 2010

poetry part 5

Marboot har khushi hai tujhi se Ay meri MAA..
Sarmaya-e-hayat hai tu mere waaste..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)


Ek kar ke zindagi bhar ki kamayi ko SABA..
Apni MAA ke doodh ki Qeemat chuka sakta nahi..


SHAYIR:
SABA Darbhangvi,

Haai ! Mere sar se jab se MAA ka saya utth gaya..
Zindagi ki chilchilati dhoop me jalta hun mai..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...



Mujh se kehti hai hamesha waqt-e-rukhsat meri MAA.
Ja tere sar par duawo'n ka meri saya rahe.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal.



9 Maheeno tak jise rakkha tha apne pet me..
Aaj kone me padi hai MAA usi Bete ke ghar..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..



Jab zamane ko mujhe chhune se ghin hoti thi..
Tu ne us waqt bhi chooma hai meri MAA mujh ko..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)


Usko hi das raha hai kisi naag ki tarah..
Jis MAA ne tujh ko doodh pila kar bada kiya..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.

(Bihar)


Ungli pakad ke chalna shikhaya tha jisne kal.
Ma'zoor hai woh aaj toh
dar se utha diya.


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
(Karnataka)


Fan me hamare hai na tumhare hunar me hai.
Jo baat ek MAA ki dua ke asar me hai.


SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)


Jaha'n nakaam ho jata hai dil jahd-e-musalsal se..
Waha'n MAA ki duaawo'n ka asar hi kaam aata hai..


SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ

No comments: