Thursday, May 20, 2010

urdu poetry part 67

Gar chaman abaad hai toh sab ke sab haqdaar hain..
Gulsita'n ujde toh usko phir sajata kaun hai..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI





Talwar se Khanjar se na Teer-o-kamaan se.
Dunya ke dil ko jeetye meethi zabaan se.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore







Har taraf se mujh pe hamle ho rahe hain aaj kal.
Jaane mai kab ho gaya SADDAM tere pyar me.

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore







Ab bhi ye ummeed hai tu laut kar aa jayega.
Shaam hote hi dariche me diya rakhta hun mai.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
(U.P.)





Tumhare naam ko mahendi se likh likh kar ****li par.
Dil-e-nadaan ko jhooti tasalli de rahi hun mai.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Kuchh aise rang dikhaye gham-e-jaha'n ne hame'n.
Dilo'n se pyar ka sara khumar jata raha.

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(BHOPAL)





Mahek kirdaar se tere agar aaye toh behter hai..
Faqat phoolo'n se daman ko saja kar kuchh nahi milta..

(SHAMEEM KIRATPURI)







Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida..
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Najane khwahishe'n kitni woh paale baitha hai.
Jo apni marzi se ek saans bhar nahi sakta.

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi





Rehta hun us ke waaste bechain jaane kyun..
Jis ne mera mizaaj bhi puchha nahi kabhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)

No comments: