Thursday, May 20, 2010

urdu poetry part 69

Woh log chehro'n pe jinke hai gard dunya ki.
Dikha rahe hain haqeeqat ka aayina mujh ko.

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Saare safar me Maa ki dua saath saath thi..
Mai door hi raha hun har ek iztirab se..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.





Mai bhi jo bacha lunga tere dard se daman..
Aankho'n ko teri yaad me nam kaun karega..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.







Chand lamhe kya teri palkaw k saaye me chale.
Phir kabhi sholau pe chalne me na dushwari huwi.

SHAYIR:
INTIZAR NAYEEM,
DELHI







Bewafa se bhi wafa hi keejye ye soch kar..
Is jaha'n me dardmandi ka sila deta hai kaun..

SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri.





Teri yaado'n k baadal ka ye adna sa karishma hai.
Ghata gham ki jo uthti hai suhani hoti jaati hai.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI







Murjha gayi thi mai toh sanam tere hijr me...
Aane se laut kar tere
tan-man MAHEK utha...

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK....





Ishq ki raah me dil par jo lage hain charke..
Ghair mumkin hai k is dard ka darma'n hona..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD







Ehsaan kisi ne bhi aise na kiya hoga..
Mazdoor ki beti ka sauda hi huwa hoga..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Darbhanga, Bihar.







Qaid haatho ki lakeero me batate hain naseeb.
Haath jinke nahi phir unka muqaddar hai kaha'n ???

SHAYIRAH:
Dr. Virottama

No comments: