Monday, June 14, 2010

urdu poetry part 247

Utha kar dil ka aayina kiya didaar Ay REHBAR..
Hamare dil ne chaha hai kabhi jab dekhna usko..

SHAYIR:
RAJENDRANATH REHBAR.





Ab toh ban kar haqeeqat chale aayiye..
Thak gaya hun mai sapne sajota huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
(Karnataka)





Woh mu'amma hai meri zindagi jise hal koyi bhi na kar saka.
Mai zabaan hun kisi aur ki Mujhe bolta koyi aur hai.

ILYAS RAHAT





Mujhe itna sataya hai mere apne azeezo'n ne..
Ke ab Jangal bhala lagta hai Ghar achchha nahi lagta..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA

No comments: