Qatl karne me hamara ye jhijak kaisi hai..
Ham kaha'n tum se talab khoon-baha karte hain??
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.
Chand lamhe bahut hain khata ko magar..
Chahiye umr lambi saza keliye..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar,
Vaniyambadi.
Dhaani chunariya'n odh kar bebaak hai khadi..
Lagti hai jaise khet me boyi huwi hai woh..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Door behla kar ye le jaati hain andekhi jaga..
Titliya'n pagli hain mat in titliyo'n se khelna..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Mere MAHB00B zara palke'n utha de apni..
Teri aankho'n me nazar aati hai dunya meri..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam..
Ye aisa Qarz hai jo mai ada kar hi nahi sakta.
Mai jabtak ghar na lautu'n meri MAA sajde me rehti hai.
SHAYIR:
MUNAWWAR RANA
Tareekh ke safho'n ne jo dekha na suna hai..
Woh baab mere ahd ke insaa'n ne likha hai..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.
Rahato'n ke waaste MAA ki duaaye'n leejye..
Badduaye'n di'n agar toh khaak ho jawoge tum..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
No comments:
Post a Comment