Saturday, June 26, 2010

Urdu poetry part 259

Takhallus se GHAZAL4U ko mere khaas nisbat hai..
GHAZAL hun mai GHAZAL4U ki Mujh ko gunguna lena..


SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL.



Rashk ham par na zamana kare kyun kar SARGAM..
Ham chamakte huwe Taare hain GHAZAL4U ke..


SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Mahek iski phaile na kyun chaar-su..
Hai manind-e-gulshan GHAZAL4U..


SHAYIR:
NAZEER RAHI,
4, Harin Bari, 1st lane.
Kolkata.



Liye ash'aar ka ambaar aaya hun tere dar par..
Mujhe bhi apni mehfil me jaga de de GHAZAL4U..


SHAYIR:
USMAN ASIM,
Srinagar.



Tawassut se tere mujh ko mili shohrat jaha'n bhar me..
Sarapa hun teri mashkoor mai dil se GHAZAL4U..


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Dilo'n me walwala bharti hai ye
jahd-e-musalsal ka..
Jo sach puchho toh ek tahreek hai Shabnam GHAZAL4U..
-
SHABNAM BHATKALI



Tamannaye'n hazaro'n uske seene me machalti hain..
Jawa'n hote huwe jab dekhta hai BAAP bachcho'n ko..
-
SHAMEEM KIRATPURI





Tamannaye'n hazaro'n uske seene me machalti hain..
Jawa'n hote huwe jab dekhta hai BAAP bachcho'n ko..
-
SHAMEEM KIRATPURI




Yu'n toh hamdard Padosi bhi hain aur Bhayi bhi..
BAAP ka koyi magar pyar nahi de sakta..


SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)



Meri khatir meri MAA ki bahut Qurbaniya'n hain hi.
Magar WALID k ehsanat b kuch kam nahi mujh par.


SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.

No comments: