Sunday, June 27, 2010

urdu poetry part 260

Teri yaade'n mahekti hain toh yu'n mehsoos karta hun.
K shakh-e-zehn pe aa kar koyi titli taherti hai.


SHAYIR:
ALTAF TANWEER



Suna hai jab se ke chehra tera kitabi hai..
Laga ke aag ham aaye hain sab kitabo'n ko..


SHAYIR:
ABDUL RAZZAQ KAWISH BADRI.



Kal shab na aankh lag saki pal bhar tamaam raat..
Sota raha hamara muqaddar tamaam raat..


SHAYIR:
ROUNAQ AAZAMI,
Chennai.



Uljha huwa mai apne masayil me reh gaya..
Rudaad-e-gham sunane ki mohlat na mil saki..


SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
(Bihar)



Jo padh sake na ibarat ko mere chehre ki..
Woh begunahi ki mujh se daleel chahte hain..


SHAYIR:
SHAKIR ADEEBI,
Bhiwandi.



Tum mujhe meri tabahi se darate kyun ho..
Dar toh usko lage jo hosh me aana chahe..


SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)



Pyari Behna jab se rukhsat ho gayi Ghar se mere..
Soona soona sa lage hai ghar ka ye aangan mujhe..


SHAYIR:
SHAAD JAMAYI



Ye kucha hai haseeno'n ka sambhal kar tum guzar jana.
Mata-e-dil ganwa baitha hai jo bhi is taraf aaya.


SHAYIR:
NAAZ KUMTAVI



Maangna hai toh utha haath Khuda ke aage..
Chhadte sooraj se bulandi ki dua mat maango..


SHAYIR:
IQBAL AKRAM WARISI.
(U.P.)



Tumhara khwab me didaar toh har raat karti hun..
Kisi din mujh se milne ko haqeeqat me chale aawo..


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK

URDU POETRY GIVES ITS READERS PLEASURE & FUN, IT INCREASES UR WISDOM AND INTELLECT,
so join GHAZAL4U and co-operate with us.

for activation:
sms

START GHAZAL4U

And send it to 09223050606

No comments: