Saturday, July 17, 2010

urdu poetry part 277

Be tahasha hans rahe ho kya huwa DANISH tumhe'n..
Kal kahein aisa na ho ke aankh paani chhod de..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH.



Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH



Shakhsiyet har shakhs ki uski zuba'n me Qaid hai..
Tujh ko izzat chahiye toh bad-zubani chhod de..

SHAYIR:
Ayub Baig Danish.



Mohabbat hai mujhe tujh se tu ye kehta toh hai lekin.
Teri aankho'n me jaane kyun meri soorat nahi dikhti.

AYUB BAIG DANISH



Ji bhar ke kar raha hai zamane ki gheebate'n.
Goya k murda-khor ko murdaar mil gaya.

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur



Jisko dastaar ka karte huwe sauda dekha.
Qad usi shakhs ka is daur me uncha dekha.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga
(Bihar)



Usay kuchh ranj hota hai toh mai bechain rehta hun.
Mohabbat me Khuda ne kya ajab ta'seer rakkhi hai.

SHAYIR:
MASR00R TABISH



Ye baat sach hai ke unse chhupa nahi kuchh bhi..
Magar zubaan se ham ne kaha nahi kuchh bhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.



Aayina-e-dil me tu kabhi dekh usay bhi.
Ek aur bhi chehra tere chehre me chhupa hai.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)


Hamare paas maazi ka asaasa..
Bas ek naam-o-nasab hai aur kya hai..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Barsi takli, Akola.
(Maharashtra)

No comments: