Monday, July 19, 2010

urdu poetry part 278

EHSAAN door hi se karo tum unhe salaam..
Udte hain jo ghubaar ki soorat hawa ke saath..

SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri,
(Delhi)


Waqt badla hai toh lazim hai k ham bhi badle'n..
Dosto ! Aao chale'n waqt ki raftaar ke saath..

SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri.


Mera Qatil tha magar mai ne Maseeha jana..
Jaal sazish ka kuchh is tarha bichhaya usne..

SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri.


Khud raasta banata hun manzil ke waaste..
Daman kisi ka thaam ke chalta nahi hun mai..

SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri,
(Delhi)


Chalna hai saari umr tere naqsh-e-pa ke saath..
Ab chahe jo sulook ho meri wafa ke saath..

SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri.


Khel hain ye jaane kaise dosti ke pyar ke..
Jeet jaate hain hamesha log baazi haar ke..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Bachchi thi muflisi me khilona nahi mila..
Titli pakadne aayi thi wapas na ghar gayi..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Tum paas ho toh lagti hai har shai me zindagi.
Warna chaman bhi
shehr-e-khamusha'n lage mujhe.

SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam





Utha hai koyi Tahajjud ko raat baqi hai..
Ye shakhs woh hai ke jis par zakath baqi hai..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.



Uski aankhe'n tar rahi daman mera bheega raha..
Saamne mere woh jitni dair tak baitha raha..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI....

No comments: